Chaand ki pari hai koi, khwaab ya nazar aaya
Husn ka farishta kaisa, mere rubaru aaya…
Husn ka farishta kaisa, mere rubaru aaya…
Haule se baharein jaise, aa gayi viraanon mein
Panchiyon ki meethi boli, ghul gayi taranon mein
Zindagi ko meri, saath rang yoon mil gaye hain
Taare hazaron, nainon mein khil gaye…
Panchiyon ki meethi boli, ghul gayi taranon mein
Zindagi ko meri, saath rang yoon mil gaye hain
Taare hazaron, nainon mein khil gaye…
O’re mere saathi oo…
Jaane, kaise, kab ye baat ho gayi
Aankhon, se tu, dil mein aa gayi
Anjani si, jo thi meri nazron ko
Ab wo mann ko, bha gayi…
Aankhon, se tu, dil mein aa gayi
Anjani si, jo thi meri nazron ko
Ab wo mann ko, bha gayi…
Chaandni khili toh dil ko, tera chehra yaad aaya
Patthon ki hui jo aahat, tera hi khayaal aaya
Bhaagon ki pawan mein, aaj teri he khushbuein hai
Zulfein jaisi kaali, chaayi hai yeh ghata…
Patthon ki hui jo aahat, tera hi khayaal aaya
Bhaagon ki pawan mein, aaj teri he khushbuein hai
Zulfein jaisi kaali, chaayi hai yeh ghata…
O’ri meri soniyo oo…
Jaane, kaise, kab ye baat ho gayi
Aankhon, se tu, dil mein aa gayi
Anjani si, jo thi meri nazron ko
Ab wo mann ko, bha gayi.
Aankhon, se tu, dil mein aa gayi
Anjani si, jo thi meri nazron ko
Ab wo mann ko, bha gayi.